jab  tak  khulī  nahīñ  thī  asrār  lag  rahī  thī
ye  zindagī  mujhe  bhī  dushvār  lag  rahī  thī
mujh  par  jhukī  huī  thī  phūloñ  kī  ek  Daalī
lekin  vo  mere  sar  par  talvār  lag  rahī  thī
chhūte  hī  jaane  kaise  qadmoñ  meñ  aa  girī  vo
jo  fāsle  se  ūñchī  dīvār  lag  rahī  thī
shahroñ  meñ  aa  ke  kaise  āhista-rau  huā  maiñ
sahrā  meñ  tez  apnī  raftār  lag  rahī  thī
lahroñ  ke  jāgne  par  kuchh  bhī  na  kaam  aa.ī
kyā  chiiz  thī  jo  mujh  ko  patvār  lag  rahī  thī
ab  kitnī  kār-āmad  jañgal  meñ  lag  rahī  hai
vo  raushnī  jo  ghar  meñ  bekār  lag  rahī  thī
TuuTā  huā  hai  shāyad  vo  bhī  hamāre  jaisā
āvāz  us  kī  jaise  jhankār  lag  rahī  thī
'ālam'  ġhazal  meñ  Dhal  kar  kyā  ḳhuub  lag  rahī  hai
jo  Tiis  mere  dil  kā  āzār  lag  rahī  thī