bah  rahā  thā  ek  dariyā  ḳhvāb  meñ
rah  gayā  maiñ  phir  bhī  tishna  ḳhvāb  meñ
jī  rahā  huuñ  aur  duniyā  meñ  magar
dekhtā  huuñ  aur  duniyā  ḳhvāb  meñ
is  zamīñ  par  tū  nazar  aatā  nahīñ
bas  gayā  hai  jo  sarāpā  ḳhvāb  meñ
roz  aatā  hai  mirā  ġham  bāñTne
āsmāñ  se  ik  sitāra  ḳhvāb  meñ
muddatoñ  se  dil  hai  us  kā  muntazir
koī  va.ada  kar  gayā  thā  ḳhvāb  meñ
kyā  yaqīñ  aa  jā.egā  us  shaḳhs  ko
us  kī  bābat  jo  bhī  dekhā  ḳhvāb  meñ
ek  bastī  hai  jahāñ  ḳhush  haiñ  sabhī
dekh  letā  huuñ  maiñ  kyā  kyā  ḳhvāb  meñ
asl  duniyā  meñ  tamāshe  kam  haiñ  kyā
kyuuñ  nazar  aa.e  tamāsha  ḳhvāb  meñ
khol  kar  āñkheñ  pashemāñ  huuñ  bahut
kho  gayā  jo  kuchh  milā  thā  ḳhvāb  meñ
kyā  huā  hai  mujh  ko  'ālam'  in  dinoñ
maiñ  ġhazal  kahtā  nahīñ  thā  ḳhvāb  meñ