Alam Khursheed

bas ek tere KHwab se inkar nahin hai

Alam Khursheed

Arrah, Bihar, India

1959
bas ek tire ḳhvāb se inkār nahīñ hai
dil varna kisī shai kā talabgār nahīñ hai
āñkhoñ meñ hasīñ ḳhvāb to haiñ aaj bhī lekin
ta.abīr se ab koī sarokār nahīñ hai
dariyā se abhī tak hai vahī rabt hamārā
kashtī meñ hamārī koī patvār nahīñ hai
hairat se na.e shahr ko maiñ dekh rahā huuñ
dīvār to hai sāya-e-dīvār nahīñ hai
is bazm kī raunaq to zarā ġhaur se dekho
lagtā hai yahāñ koī dil-āzār nahīñ hai
aa.e ho numā.ish meñ zarā dhyān bhī rakhnā
har shai jo chamaktī hai chamakdār nahīñ hai
kyuuñ itnā hameñ apnī mohabbat pe yaqīñ hai
duniyā to mohabbat kī parastār nahīñ hai
Top Urdushayar.com