bas  ek  tire  ḳhvāb  se  inkār  nahīñ  hai
dil  varna  kisī  shai  kā  talabgār  nahīñ  hai
āñkhoñ  meñ  hasīñ  ḳhvāb  to  haiñ  aaj  bhī  lekin
ta.abīr  se  ab  koī  sarokār  nahīñ  hai
dariyā  se  abhī  tak  hai  vahī  rabt  hamārā
kashtī  meñ  hamārī  koī  patvār  nahīñ  hai
hairat  se  na.e  shahr  ko  maiñ  dekh  rahā  huuñ
dīvār  to  hai  sāya-e-dīvār  nahīñ  hai
is  bazm  kī  raunaq  to  zarā  ġhaur  se  dekho
lagtā  hai  yahāñ  koī  dil-āzār  nahīñ  hai
aa.e  ho  numā.ish  meñ  zarā  dhyān  bhī  rakhnā
har  shai  jo  chamaktī  hai  chamakdār  nahīñ  hai
kyuuñ  itnā  hameñ  apnī  mohabbat  pe  yaqīñ  hai
duniyā  to  mohabbat  kī  parastār  nahīñ  hai