kabhī  maiñ  zikr  karūñ  din  kī  shādmānī  kā
fasāna  ḳhatm  to  ho  shab  kī  sargirānī  kā
simaT  ke  aa  gayā  qadmoñ  meñ  kis  tarah  sahrā
sunā  thā  shor  bahut  us  kī  be-karānī  kā
ajab  nahīñ  ki  na.e  rāste  nikal  aa.eñ
kisī  ne  rāsta  rokā  hai  bahte  paanī  kā
tamām  ahl-e-zabāñ  bātiloñ  ke  haq  meñ  haiñ
mujhe  malāl  nahīñ  apnī  be-zabānī  kā
jo  baat  kahnī  thī  ab  tak  kahī  nahīñ  maiñ  ne
maiñ  iḳhtitām  karūñ  kaise  is  kahānī  kā
ḳhudā  samajhtā  hai  ḳhud  ko  yahāñ  jo  aatā  hai
ajiib  haal  hai  'ālam'  sarā-e-fānī  kā