mire  hisār  se  bāhar  bulā  rahā  hai  mujhe
koī  hasīn  sā  manzar  bulā  rahā  hai  mujhe
jahāñ  muqīm  thā  maiñ  ek  ajnabī  kī  tarah
vahī  makān  ab  aksar  bulā  rahā  hai  mujhe
jo  thak  ke  baiTh  gayā  huuñ  maiñ  biich  raste  meñ
to  ab  vo  miil  kā  patthar  bulā  rahā  hai  mujhe
huā  hai  tishna-labī  se  muāhida  merā
abas  hī  roz  samundar  bulā  rahā  hai  mujhe
bujhā  diye  haiñ  usī  ne  ka.ī  charāġh  mire
jo  ek  sham.a  jalā  kar  bulā  rahā  hai  mujhe
vo  jāntā  hai  maiñ  us  ke  sitam  kā  ḳhūgar  huuñ
so  baar  baar  sitamgar  bulā  rahā  hai  mujhe
bulā  rahā  hai  to  khul  kar  kabhī  bulā.e  vo
bas  ik  ishāre  se  aksar  bulā  rahā  hai  mujhe
dayār-e-ġhair  meñ  rahtā  huuñ  maiñ  magar  'ālam'
har  ek  lamha  mirā  ghar  bulā  rahā  hai  mujhe