tah-ba-tah  hai  raaz  koī  aab  kī  tahvīl  meñ
ḳhāmushī  yuuñ  hī  nahīñ  rahtī  hai  gahrī  jhiil  meñ
maiñ  ne  bachpan  meñ  adhūrā  ḳhvāb  dekhā  thā  koī
aaj  tak  masrūf  huuñ  us  ḳhvāb  kī  takmīl  meñ
har  ghaḌī  ahkām  jaarī  kartā  rahtā  hai  ye  dil
haath  bāñdhe  maiñ  khaḌā  huuñ  hukm  kī  ta.amīl  meñ
kab  mirī  marzī  se  koī  kaam  hotā  hai  tamām
har  ghaḌī  rahtā  huuñ  maiñ  kyuuñ  be-sabab  tājīl  meñ
māñgtī  hai  ab  mohabbat  apne  hone  kā  subūt
aur  maiñ  jaatā  nahīñ  iz.hār  kī  tafsīl  meñ
mudda.ā  terā  samajh  letā  huuñ  terī  chaal  se
tū  pareshāñ  hai  abas  alfāz  kī  tāvīl  meñ
apnī  ḳhātir  bhī  to  'ālam'  chiiz  rakhnī  thī  koī
ab  kahāñ  kuchh  bhī  bachā  hai  terī  is  zambīl  meñ