kahīñ  pe  jism  kahīñ  par  ḳhayāl  rahtā  hai
mohabbatoñ  meñ  kahāñ  e'tidāl  rahtā  hai
falak  pe  chāñd  nikaltā  hai  aur  dariyā  meñ
balā  kā  shor  ġhazab  kā  ubaal  rahtā  hai
dayār-e-dil  meñ  bhī  ābād  hai  koī  sahrā
yahāñ  bhī  vajd  meñ  raqsāñ  ġhazāl  rahtā  hai
chhupā  hai  koī  fusūñ-gar  sarāb  āñkhoñ  meñ
kahīñ  bhī  jaao  usī  kā  jamāl  rahtā  hai
tamām  hotā  nahīñ  ishq-e-nā-tamām  kabhī
koī  bhī  umr  ho  ye  lā-zavāl  rahtā  hai
visāl-e-jism  kī  sūrat  nikal  to  aatī  hai
diloñ  meñ  hijr  kā  mausam  bahāl  rahtā  hai
ḳhushī  ke  laakh  vasā.el  ḳharīd  lo  'ālam'
dil-e-shikasta  magar  pur-malāl  rahtā  hai