kyuuñ  āñkheñ  band  kar  ke  raste  meñ  chal  rahā  huuñ
kyā  maiñ  bhī  rafta  rafta  patthar  meñ  Dhal  rahā  huuñ
chāroñ  taraf  haiñ  shole  ham-sā.e  jal  rahe  haiñ
maiñ  ghar  meñ  baiThā  baiThā  bas  haath  mal  rahā  huuñ
mere  dhueñ  se  merī  har  saañs  ghuT  rahī  hai
maiñ  raah  kā  diyā  huuñ  aur  ghar  meñ  jal  rahā  huuñ
āñkhoñ  pe  chhā  gayā  hai  koī  tilism  shāyad
palkeñ  jhapak  rahā  huuñ  manzar  badal  rahā  huuñ
tabdīliyoñ  kā  nashsha  mujh  par  chaḌhā  huā  hai
kapḌe  badal  rahā  huuñ  chehra  badal  rahā  huuñ
is  faisle  se  ḳhush  haiñ  afrād  ghar  ke  saare
apnī  ḳhushī  se  kab  maiñ  ghar  se  nikal  rahā  huuñ
in  pattharoñ  pe  chalnā  aa  jā.egā  mujhe  bhī
Thokar  to  khā  rahā  huuñ  lekin  sambhal  rahā  huuñ
kāñToñ  pe  jab  chalūñgā  raftār  tez  hogī
phūloñ  bharī  ravish  par  bach  bach  ke  chal  rahā  huuñ
chashme  kī  tarah  'ālam'  ash.ār  phūTte  haiñ
koh-e-girāñ  kī  sūrat  meñ  bhī  ubal  rahā  huuñ