tire  ḳhayāl  ko  zanjīr  kartā  rahtā  huuñ
maiñ  apne  ḳhvāb  kī  tābīr  kartā  rahtā  huuñ
tamām  rañg  adhūre  lage  tire  aage
so  tujh  ko  lafz  meñ  tasvīr  kartā  rahtā  huuñ
jo  baat  dil  se  zabāñ  tak  safar  nahīñ  kartī
usī  ko  sher  meñ  tahrīr  kartā  rahtā  huuñ
dukhoñ  ko  apne  chhupātā  huuñ  maiñ  dafīnoñ  sā
magar  ḳhushī  ko  hama-gīr  kartā  rahtā  huuñ
guzishta  rut  kā  amiiñ  huuñ  na.e  makān  meñ  bhī
purānī  iiñT  se  ta.amīr  kartā  rahtā  huuñ
mujhe  bhī  shauq  hai  duniyā  ko  zer  karne  kā
maiñ  apne  aap  ko  tasḳhīr  kartā  rahtā  huuñ
zamīn  hai  ki  badaltī  nahīñ  kabhī  mehvar
maiñ  kaisī  kaisī  tadābīr  kartā  rahtā  huuñ
jo  maiñ  huuñ  us  ko  chhupātā  huuñ  saare  aalam  se
jo  maiñ  nahīñ  huuñ  vo  tash.hīr  kartā  rahtā  huuñ