'ālam'  jīvan  khel-tamāsha  dānā.ī  nādānī  hai
tab  tak  zinda  rahte  haiñ  ham  jab  tak  ik  hairānī  hai
aag  havā  aur  miTTī  paanī  mil  kar  kaise  rahte  haiñ
dekh  ke  ḳhud  ko  hairāñ  huuñ  maiñ  jaise  ḳhvāb  kahānī  hai
āvāzoñ  kā  jañgal  bhī  hai  sannāToñ  kā  sahrā  bhī
ek  taraf  ābādī  mujh  meñ  ek  taraf  vīrānī  hai
is  manzar  ko  āḳhir  kyuuñ  maiñ  pahroñ  taktā  rahtā  huuñ
uupar  sākit  chaTTāneñ  haiñ  tah  meñ  bahtā  paanī  hai
mere  bachcho  is  ḳhitte  meñ  pyaar  kī  gañgā  bahtī  thī
dekho  is  tasvīr  ko  dekho  ye  tasvīr  purānī  hai
'ālam'  mujh  ko  bīmārī  hai  niiñd  meñ  chalte  rahne  kī
rātoñ  meñ  bhī  kab  ruktā  hai  mujh  meñ  jo  sailānī  hai