zarā  sī  dhuup  zarā  sī  namī  ke  aane  se
maiñ  jī  uThā  huuñ  zarā  tāzgī  ke  aane  se
udaas  ho  ga.e  ik  pal  meñ  shādmāñ  chehre
mire  laboñ  pe  zarā  sī  hañsī  ke  aane  se
dukhoñ  ke  yaar  bichhaḌne  lage  haiñ  ab  mujh  se
ye  sāneha  bhī  huā  hai  ḳhushī  ke  aane  se
karaḳht  hone  lage  haiñ  bujhe  hue  lahje
mire  mizāj  meñ  shā.istagī  ke  aane  se
bahut  sukūn  se  rahte  the  ham  añdhere  meñ
fasād  paidā  huā  raushnī  ke  aane  se
yaqīn  hotā  nahīñ  shahr-e-dil  achānak  yuuñ
badal  gayā  hai  kisī  ajnabī  ke  aane  se
maiñ  rote  rote  achānak  hī  hañs  paḌā  'ālam'
tamāsh-bīnoñ  meñ  sanjīdgī  ke  aane  se