har  koī  miltā  hai  ban  kar  dīvār
TuuT  jā.egī  magar  har  dīvār
maiñ  bhī  taqsīm  na  ho  jā.ūñ  kahīñ
uTh  rahī  hai  mire  andar  dīvār
har  balā  sīdhī  chalī  aatī  hai
koī  hotī  mire  bāhar  dīvār
chhoḌ  kar  jā.ūñ  kahāñ  bachchoñ  ko
ab  to  hai  mere  liye  ghar  dīvār
dhuup  se  ham  ko  bachāne  ke  liye
roz  phailātī  rahe  par  dīvār
phir  jazīre  na  mile  aapas  meñ
rāste  meñ  hai  samundar  dīvār
maiñ  sunātā  rahā  dukhḌe  'ḳhāvar'
aur  rotī  rahī  shab  bhar  dīvār