baar  baar  ek  hī  nazzāra  na  dikhlāyā  kar
baat  dilkash  bhī  agar  ho  to  na  dohrāyā  kar
log  gir  jaate  haiñ  miTTī  ke  gharoñdoñ  kī  tarah
is  tarah  bārish-e-dīdār  na  barsāyā  kar
peḌ  kā  saayā  nahīñ  TuuTā  huā  patta  huuñ
mujh  ko  jazbāt  ke  dariyā  meñ  na  Thahrāyā  kar
TuuT  jaa.e  na  kisī  roz  tirā  shīsh-mahal
yuuñ  sar-e-rāh  na  dīvānoñ  ko  samjhāyā  kar
mere  ehsās  ko  ik  phuul  bahut  hai  'ḳhāvar'
mere  ehsās  pe  yuuñ  sañg  na  barsāyā  kar