vo  sañvar  saktā  hai  ma.aqūl  bhī  ho  saktā  hai
merā  andāza  mirī  bhuul  bhī  ho  saktā  hai
ab  pas-e-abr  hai  jab  abr  se  bāhar  niklā
vo  chamak  saktā  hai  maqbūl  bhī  ho  saktā  hai
duur  se  dekhā  hai  nazdīk  se  bhī  dekhūñgā
phuul  sā  lagtā  hai  jo  phuul  bhī  ho  saktā  hai
aaj  kī  shab  bhī  sitāroñ  ne  agar  saath  diyā
dil  jo  be-kār  hai  mashġhūl  bhī  ho  saktā  hai
kyuuñ  samajhtā  huuñ  ki  aatā  hai  vo  merī  ḳhātir
sair  us  shaḳhs  kā  ma.amūl  bhī  ho  saktā  hai
taḳht  tabdīl  bhī  ho  saktā  hai  taḳhte  meñ  kabhī
apne  ohde  se  vo  māzūl  bhī  ho  saktā  hai
jāntā  kaun  thā  'ḳhāvar'  vo  daraḳhshāñ  taarā
gir  ke  āñkhoñ  se  kabhī  dhuul  bhī  ho  saktā  hai