har  ek  ruup  hai  us  kā  paheliyoñ  kī  tarah
khule  na  mujh  pe  vo  ujḌī  haveliyoñ  kī  tarah
ye  rañg  rañg  parinde  hī  ham  se  achchhe  haiñ
jo  ik  daraḳht  pe  rahte  haiñ  beliyoñ  kī  tarah
sunahrī  dhuup  meñ  baiThī  hoñ  mil  ke  jab  chiḌiyāñ
to  chahchahātī  haiñ  alhaḌ  saheliyoñ  kī  tarah
uThā  ke  haath  duā.eñ  na  maañg  bārish  kī
falak  bhī  ḳhushk  hai  terī  hatheliyoñ  kī  tarah
ujaḌ  gayā  hai  magar  raas  rut  badalne  se
kabhī  mahaktā  thā  'ḳhāvar'  chambeliyoñ  kī  tarah