kaaT  rahā  huuñ  ik  ik  din  āzār  ke  saath
jaise  raat  guzartī  hai  bīmār  ke  saath
shohrat  tanhā  tai  kartī  hai  raste  ko
uḌ  kar  phuul  nahīñ  jaatā  mahkār  ke  saath
hijr  kā  mausam  le  kar  sūraj  niklā  hai
barf  lipaT  kar  rotī  hai  kohsār  ke  saath
ghar  kī  har  shai  terī  yaad  dilātī  hai
dhyān  meñ  chiḌiyā  aa  jaa.e  chahkār  ke  saath
ek  hī  jhoñkā  bikhrā  degā  pattoñ  ko
kab  tak  mil  kar  baiTheñge  dīvār  ke  saath
vaqt  ne  likh  kar  kaaT  diye  haiñ  un  ke  naam
jin  kā  sikka  chaltā  thā  talvār  ke  saath
'ḳhāvar'  kyā  kyā  shakleñ  bantī  rahtī  haiñ
tanhā.ī  meñ  yādoñ  kī  parkār  ke  saath