kabūtar  jis  taraf  se  aa  rahā  hai
udhar  tīroñ  kā  lashkar  jā  rahā  hai
badan  kirnoñ  kā  mailā  ho  na  jaa.e
fazā  meñ  vo  dhuāñ  phailā  rahā  hai
hamāre  kal  ko  mahkānā  hai  us  ne
magar  vo  phuul  to  murjhā  rahā  hai
ye  merī  laash  ko  sāhil  pe  rakh  kar
samundar  kis  taraf  ko  jā  rahā  hai
maiñ  kho  jaatā  kahīñ  zulmat  meñ  lekin
mujhe  rasta  koī  dikhlā  rahā  hai
nahīñ  pīchhe  bhī  muḌ  ke  maiñ  ne  dekhā
ye  merā  jism  kyuuñ  pathrā  rahā  hai
koī  ziina  to  paañv  meñ  hai  'ḳhāvar'
jo  is  tezī  se  uupar  jā  rahā  hai