shāḳh  se  patte  parinde  āshiyāñ  se  jā  chuke
kaisī  rut  hai  sab  makīñ  apne  makāñ  se  jā  chuke
maiñ  ḳhalāoñ  meñ  bhaTakne  ko  akelā  rah  gayā
mere  sāthī  chāñd-tāre  āsmāñ  par  jā  chuke
ḳhushk  patte  uḌte  phirte  haiñ  yahāñ  ab  jā-ba-jā
rañg-o-nik.hat  ke  musāfir  gulsitāñ  tak  jā  chuke
tere  qaabū  meñ  the  jab  tere  the  ab  tere  nahīñ
uḌ  ke  ab  alfāz  ke  panchhī  zabāñ  se  jā  chuke
kah  rahe  haiñ  dard  meñ  Duube  hue  dīvār-o-dar
DhūñDte  phirte  ho  jin  ko  tum  yahāñ  se  jā  chuke
zindagī  meñ  dekhne  the  ye  bhī  din  'ḳhāvar'  hameñ
jo  kabhī  bichhḌe  na  the  vahm-o-gumāñ  se  jā  chuke