har  ek  lamha  hai  mujh  pe  taarī  ḳhayāl  terā
maiñ  ik  parinda  muhīt  jis  par  hai  jaal  terā
bichhaḌ  ke  kunj  apnī  Daar  se  bain  kar  rahī  hai
judā  hai  tū  ham  se  jaane  kyā  hogā  haal  terā
ye  ek  Tahnī  hai  merā  maskan  na  chhīn  mujh  se
havā-e-sarkash  junūb  terā  shumāl  terā
jo  sabz  patte  the  Dhaal  terī  vo  jhaḌ  ga.e  haiñ
salīb-shāḳhoñ  pe  jhūltā  hai  zavāl  terā
lahū  kī  kirnoñ  se  shab  ko  chhalnī  kiyā  hai  tū  ne
rahegā  sūraj  kī  tarah  raushan  kamāl  terā