yuuñ  hirāsāñ  haiñ  musāfir  bastiyoñ  ke  darmiyāñ
ho  ga.ī  ho  shaam  jaise  jañgaloñ  ke  darmiyāñ
zindagī  se  ab  yahī  do-chār  pal  kā  saath  hai
pāniyoñ  se  aa  gayā  huuñ  daldaloñ  ke  darmiyāñ
chaar  jānib  phailte  hī  jā  rahe  haiñ  regzār
tishnagī  hī  tishnagī  hai  ḳhvāhishoñ  ke  darmiyāñ
dekhte  hī  dekhte  aapas  meñ  dushman  ho  ga.e
ḳhuun  kā  dariyā  ravāñ  hai  bhā.iyoñ  ke  darmiyāñ
ab  to  is  kī  zad  meñ  hai  saarā  nagar  aayā  huā
vo  bhī  din  the  sail  thā  jab  sāhiloñ  ke  darmiyāñ
adh-khulī  āñkheñ  haiñ  'ḳhāvar'  aur  sāñsoñ  kā  azaab
laash  kī  sūrat  paḌā  huuñ  kargasoñ  ke  darmiyāñ