tumhāre  liye  muskurātī  sahar  hai
hamāre  liye  raat  kā  ye  nagar  hai
akele  yahāñ  baiTh  kar  kyā  kareñge
bulāyā  hai  jis  ne  hameñ  vo  kidhar  hai
pareshāñ  huuñ  kis  kis  kā  surma  banā.ūñ
yahāñ  to  har  ik  kī  usī  par  nazar  hai
ujālā  haiñ  ruḳhsār  jaadū  haiñ  āñkheñ
ba-zāhir  vo  sab  kī  tarah  ik  bashar  hai
vo  jis  ne  hamesha  hameñ  dukh  diye  haiñ
tamāsha  to  ye  hai  vahī  chārāgar  hai
nikal  kar  vahāñ  se  kahīñ  dil  na  Thahrā
bichāra  abhī  tak  yahāñ  dar-ba-dar  hai
kisī  din  ye  patthar  bhī  bāteñ  karegā
mohabbat  kī  nazroñ  meñ  itnā  asar  hai
jo  palkoñ  se  gir  jaa.e  aañsū  kā  qatra
jo  palkoñ  meñ  rah  jā.egā  vo  guhar  hai
vo  zillat  vo  ḳhvārī  bhī  us  ke  sabab  thī
mohabbat  kā  sehra  bhī  us  dil  ke  sar  hai
koī  aa  rahā  hai  koī  jā  rahā  hai
samajhte  haiñ  duniyā  ko  ḳhāla  kā  ghar  hai
na  koī  payām  us  kī  jānib  se  aayā
na  miltā  kahīñ  ab  mirā  nāma-bar  hai