mujh  se  afsurda  na  ai  josh-e-bahārāñ  honā
kaif  meñ  bhuul  gayā  chāk-garebāñ  honā
jab  bikhar  jaatī  hai  zulf  aur  nikhar  jaatī  hai
mujh  ko  jam.īyat-e-ḳhātir  hai  pareshāñ  honā
zarra  zarra  hai  tajallī  se  laḌā.e  hue  aañkh
kis  qayāmat  kī  numā.ish  hai  ye  pinhāñ  honā
duur  haiñ  tujh  se  abhī  nuur  ke  zarre  har-sū
ai  mirī  ḳhaak  zarā  aur  pareshāñ  honā
hasrat-e-dīd  ne  ā.īna  banāyā  dil  ko
ain  nazzāra  hai  nazzāre  kā  armāñ  honā
husn  har  shai  ko  diyā  ishq  milā  har  dil  ko
taaki  āsān  ho  insān  kā  insāñ  honā
ḳhuub  hotā  hai  numāyāñ  suḳhan-e-'nātiq'  se
misl-e-ma.anī  tirā  har  lafz  meñ  pinhāñ  honā