mire  muqaddar  meñ  jo  likhā  thā  nasīb  se  vo  pahuñch  na  paayā
girā  to  thā  āsmān  se  kuchh  khajūr  meñ  rah  gayā  aTak  kar
musībat  aa  to  ga.ī  thī  lekin  huī  vo  aap  ulTe  paañv  ruḳhsat
lagā  jo  thā  zindagī  kā  kāñTā  nikal  gayā  chaar  din  khaTak  kar
vahāñ  haiñ  ab  ham  ki  kyā  batā.eñ  vo  pech-o-ḳham  haiñ  ki  kuchh  na  pūchho
ye  chaal  rāh-e-talab  kī  dekho  ki  chal  rahī  hai  maTak  maTak  kar
ye  kaisī  vahshat-asar  ḳhabar  hai  patā  to  ai  bāġhbāñ  lagānā
khaḌe  hue  kaan  kyuuñ  guloñ  ke  kalī  ne  kyā  kah  diyā  chaTak  kar
kiyā  jo  Dar  Dar  ke  arz-e-matlab  to  mujh  se  ye  kah  diyā  unhoñ  ne
sabaq  nahīñ  yaad  abhī  ye  tum  ko  sunā  rahe  ho  aTak  aTak  kar
ḳhud  apnā  rasta  sudhār  'nātiq'  na  fikr  kar  shaiḳh-o-barahman  kī
vahīñ  to  jaate  haiñ  rāste  sab  koī  kahāñ  jā.egā  bhaTak  kar