us  kī  galī  meñ  zarf  se  baḌh  kar  milā  mujhe
ik  pyāla  justujū  thī  samundar  milā  mujhe
maiñ  chal  paḌā  thā  aur  kisī  shāhrāh  par
ḳhanjar-ba-dast  yādoñ  kā  lashkar  milā  mujhe
dariyā-e-shab  se  paar  utarnā  muhāl  thā
TuuTā  huā  safīna-e-ḳhāvar  milā  mujhe
tāroñ  meñ  us  kā  aks  hai  phūloñ  meñ  us  kā  rañg
maiñ  jis  taraf  gayā  mirā  dilbar  milā  mujhe
har  zarra  bā-kamāl  hai  har  pattā  be-misāl
duniyā  meñ  ḳhud  se  koī  na  kam-tar  milā  mujhe
kab  se  bhaTak  rahā  huuñ  maiñ  is  dasht  meñ  magar
ḳhud  se  kabhī  milā  na  tirā  dar  milā  mujhe
hotā  nahīñ  hai  tujh  pe  kisī  baat  kā  asar
lagtā  hai  tere  ruup  meñ  patthar  milā  mujhe
be-kaif  kaT  rahī  thī  musalsal  ye  zindagī
phir  ḳhvāb  meñ  vo  ḳhvāb  sā  paikar  milā  mujhe
is  baat  par  karūñgā  maiñ  din  raat  ehtijāj
kis  jurm  meñ  ye  ḳhaak  kā  bistar  milā  mujhe
mujh  ko  nahīñ  rahī  kabhī  manzar  kī  justujū
ghar  ke  qarīb  kū-e-sitamgar  milā  mujhe
jab  tak  rahā  maiñ  ḳhud  meñ  bhaTaktā  rahā  yahāñ
jab  ḳhud  ko  kho  diyā  to  tirā  dar  milā  mujhe
miTTī  meñ  DhūñDtā  huā  kuchh  būḌhā  āsmāñ
maiñ  jis  taraf  gayā  yahī  manzar  milā  mujhe
karte  haiñ  log  husn  se  yaañ  nā-ravā  sulūk
rote  hue  hamesha  gul-e-tar  milā  mujhe