Natiq Lakhnavi

na qatra kam hai na kafi tamam mai-KHana

Natiq Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1878-1950

na qatra kam hai na kaafī tamām mai-ḳhāna

jo zarf jis hai us vahī hai paimāna

asar hai sab pe mai-e-ishq judāgāna

kisī ko nashsha nahīñ hai koī hai dīvāna

tajalliyoñ meñ ho taqsīm ḳhāk-e-dil kyūñ-kar

hazār sham.a farozāñ aur ek parvāna

bayān-e-zaḳhm-e-jigar par vo muskurāte haiñ

hañsī hañsī meñ badalte haiñ rañg-e-afsāna

kisī ke zaḳhm se miltā nahīñ kisī zaḳhm

tirī nazar ke haiñ ruḳh kis qadar judāgāna

har ek zarra sharābī har ek qatra sharābī

tamām ālam-e-imkāñ hai ek mai-ḳhāna

jahāñ-numā to hai sāqī-numā nahīñ 'nātiq'

badal ke le gayā jamshed merā paimāna

Top Urdushayar.com