Natiq Lakhnavi

kabhi daman-e-dil par dagh-e-mayusi nahin aaya

Natiq Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1878-1950
kabhī dāmān-e-dil par dāġh-e-māyūsī nahīñ aayā
idhar va.ada kiyā us ne udhar dil ko yaqīñ aayā
mohabbat-āshnā dil maz.hab-o-millat ko kyā jaane
huī raushan jahāñ bhī sham-e-parvāna nahīñ aayā
do-ālam se guzar ke bhī dil-e-āshiq hai āvāra
abhī tak ye musāfir apnī manzil par nahīñ aayā
mirī jānib se un ke dil meñ kis shikve pe kiina hai
vo shikva jo zabāñ par kyā abhī dil meñ nahīñ aayā
hayāt-e-be-ḳhudī kuchh aisī nā-mahsūs thī 'nātiq'
ajal aa.ī to mujh ko apnī hastī kā yaqīñ aayā
Top Urdushayar.com