hamāre  dil  kī  bajā  dī  hai  us  ne  iiñT  se  iiñT
hamāre  aage  kabhī  us  kā  naam  mat  lenā
usī  nigāh  se  piine  meñ  lutf  hai  saarā
alāva  us  ke  koī  aur  jaam  mat  lenā
isī  sabab  se  hai  duniyā  meñ  āsmāñ  badnām
tum  apne  haath  meñ  ye  intizām  mat  lenā
dil  o  nazar  kī  baqā  hai  faqat  mohabbat  meñ
dil  o  nazar  se  koī  aur  kaam  mat  lenā
yahāñ  pe  achchhā  hai  jitnā  bhī  muḳhtasar  ho  qayām
zalīl  hoge  hayāt-e-davām  mat  lenā
ye  saare  log  tumhārā  mazāq  uḌāte  haiñ
jahāñ  meñ  aur  mohabbat  kā  naam  mat  lenā
rahoge  chāñd  kī  sargoshiyoñ  se  bhī  mahrūm
kisī  se  dhuup  kā  jaltā  kalām  mat  lenā
agarche  tum  pe  huā  hai  yahāñ  pe  zulm  bahut
kisī  se  us  kā  magar  intiqām  mat  lenā