barsoñ  ba.ad  milā  to  us  ne  ham  se  pūchhā  kaise  ho
shahr-e-nigārāñ  ke  markaz  the  tanhā  tanhā  kaise  ho
vo  kuchh  mere  dard  ko  bāñTe  maiñ  kuchh  us  ke  ġham  le  luuñ
aisā  ho  to  kyā  achchhā  ho  lekin  aisā  kaise  ho
chehre  par  jo  hariyālī  thī  vo  shahroñ  meñ  zard  huī
gaañv  kā  mukhiyā  pūchh  rahā  hai  mere  bhayyā  kaise  ho
uThtī  huī  maujoñ  ke  nīche  kitnā  gahrā  paanī  hai
ham  jaise  kuchh  log  na  Dūbeñ  to  andāza  kaise  ho
tez-o-tund  havā  ke  hāthoñ  kyā  biite  ye  baat  alag
shāḳheñ  jab  tak  saath  na  chhoḌeñ  pattā  piilā  kaise  ho