raat  bhar  ḳhvāb  ke  dariyā  meñ  saverā  dekhā
din  ke  sāhil  pe  jo  utre  to  añdherā  dekhā
ḳhud  ko  likkhā  bhī  hai  maiñ  ne  hī  miTāyā  bhī  hai  ḳhud
qalam-e-ġhair  ne  saaya  bhī  na  merā  dekhā
jin  ke  chehroñ  pe  chamak  nuur  kā  haalā  atrāf
un  ke  zehnoñ  ko  jo  kholā  to  añdherā  dekhā
jin  ke  teshoñ  ko  rahā  koh-kanī  kā  daavā
unheñ  mahloñ  kā  bhī  karte  hue  pherā  dekhā
jo  mujhe  dene  ko  aate  the  ġham  apne  aksar
un  kī  ḳhushiyoñ  ne  kabhī  ghar  bhī  na  merā  dekhā
umr  kul  guzrī  thī  paḌhte  hue  chehra  terā
aaj  DhūñDā  to  kahīñ  aks  na  terā  dekhā
jo  mujhe  barg-e-ḳhizāñ  samjhī  thiiñ  un  āñkhoñ  ne
naam  aurāq-e-bahārāñ  pe  bhī  merā  dekhā