Waheed Akhtar

safar hi baad-e-safar hai to kyun na ghar jaun

Waheed Akhtar

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1935-1996

safar bād-e-safar hai to kyuuñ na ghar jā.ūñ

mileñ jo gum-shuda rāheñ to lauT kar jā.ūñ

musalsal ek gardish se hai qayām achchhā

zamīn Thahre to maiñ bhī kahīñ Thahar jā.ūñ

sameTūñ ḳhud ko to duniyā ko haath se chhoḌūñ

asāsa jamā karūñ maiñ to ḳhud bikhar jā.ūñ

hai ḳhair-ḳhvāhoñ talqīn-e-maslahat bhī ajiib

ki zinda rahne ko maiñ jīte-jī mar jā.ūñ

sabā ke saath milā mujh ko hukm-e-dar-ba-darī

guloñ zid hai mizāj un pūchh kar jā.ūñ

mirī uḌaan agar mujh ko nīche aane de

to āsmān gahrā.ī meñ utar jā.ūñ

vo kah gayā hai karūñ intizār umr tamām

maiñ us ko DhūñDne niklūñ na apne ghar jā.ūñ

kahāñ uThā.e phirūñ bojh apne sar 'vahīd'

ye jis qarz hai us ke dar pe dhar jā.ūñ

Top Urdushayar.com