Waheed Akhtar

kahin shunawai nahin husn ki mahfil ke KHilaf

Waheed Akhtar

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1935-1996
kahīñ shunavā.ī nahīñ husn kī mahfil ke ḳhilāf
gul na kyuuñ hañste raheñ shor-e-anādil ke ḳhilāf
jān-o-īmāñ bhī vahī dushman-e-jān-o-īmāñ
ham gavāhī bhī na deñge kahīñ qātil ke ḳhilāf
kisī jaade pe chalo chhoḌegī tanhā.ī na saath
qadam uTTheñ to kidhar ishq kī manzil ke ḳhilāf
bazm-e-yārāñ ho ki mai naġhma ke faizān-e-suḳhan
sab haiñ sāzish meñ sharīk us kī mire dil ke ḳhilāf
hijr meñ jī ke bahalne ke the jitne hiile
vahshat ik saath rahī ho ga.e sab mil ke ḳhilāf
isī āġhosh meñ dam toḌeñgī aa kar maujeñ
bhāgtī phirtī haiñ bekār hī sāhil ke ḳhilāf
aql-e-duniyā kā tumheñ da.avā hai be-vaj.h 'vahīd'
do-qadam chal nahīñ sakte kabhī tum dil ke ḳhilāf
Top Urdushayar.com