dīvānoñ  ko  manzil  kā  patā  yaad  nahīñ  hai
jab  se  tirā  naqsh-e-kaf-e-pā  yaad  nahīñ  hai
afsurdagi-e-ishq  ke  khulte  nahīñ  asbāb
kyā  baat  bhulā  baiThe  haiñ  kyā  yaad  nahīñ  hai
ham  dil-zadgāñ  jiite  haiñ  yādoñ  ke  sahāre
haañ  miT  ga.e  jis  par  vo  adā  yaad  nahīñ  hai
ghar  apnā  to  bhūlī  hī  thī  āshuftagi-e-dil
ḳhud-rafta  ko  ab  dar  bhī  tirā  yaad  nahīñ  hai
lete  haiñ  tirā  naam  hī  yuuñ  jāgte  sote
jaise  ki  hameñ  apnā  ḳhudā  yaad  nahīñ  hai
ye  ek  hī  ehsān-e-ġham  dost  hai  kyā  kam
be-mehri-e-daurāñ  kī  jafā  yaad  nahīñ  hai
be-barse  guzar  jaate  haiñ  umDe  hue  bādal
jaise  unheñ  merā  hī  patā  yaad  nahīñ  hai
is  baar  'vahīd'  aap  kī  āñkheñ  nahīñ  barsīñ
kyā  jhūmtī  zulfoñ  kī  ghaTā  yaad  nahīñ  hai