katrā  ke  gulsitāñ  se  jo  sū-e-qafas  chale
aisī  koī  havā  bhī  to  ab  ke  baras  chale
ādāb-e-qāfila  bhī  haiñ  zanjīr-e-pā-e-shauq
ye  kyā  safar  asīr-e-sadā-e-jaras  chale
maanā  havā-e-gul  se  the  be-iḳhtiyār  ham
phir  bhī  bachā  ke  raah  kā  har  ḳhār-o-ḳhas  chale
pāmāl  ho  ke  rah  ga.e  jashn-e-bahār  meñ
ye  fikr  thī  chaman  pe  ḳhizāñ  kā  na  bas  chale
ai  chashma-e-hayāt  na  dī  tū  ne  buuñd  bhī
ham  tishna-kām  abr  kī  sūrat  baras  chale
sub.heñ  bhī  aa  ke  zahr  rag-e-jāñ  meñ  bhar  na  deñ
hijrān-e-yār  tere  añdhere  to  Das  chale
un  kī  ye  zid  vo  dekheñ  gadā-e-rafū  hameñ
ham  ko  ye  fikr  un  ke  garebāñ  pe  bas  chale
thā  pās-e-ābrū-e-tamannā  hameñ  'vahīd'
chun  kar  gul-e-murād  sab  ahl-e-havas  chale