kyuuñ  tirī  qand-labī  ḳhush-suḳhanī  yaad  aa.ī
zahar-afshānī-e-dunyā-e-danī  yaad  aa.ī
pa.e-gul-gasht-e-chaman  phir  dil-e-dīvāna  chalā
phir  tirī  sarv-qadī  gul-badanī  yaad  aa.ī
jab  kisī  jism  pe  sajte  hue  dekhā  hai  libās
terī  ḳhush-qāmatī  ḳhush-pairahnī  yaad  aa.ī
yuuñ  nibāhā  tirā  vaada  tire  ġham  ne  barsoñ
ġham-e-ayyām  kī  paimāñ-shikanī  yaad  aa.ī
jaam  uThāte  hī  dil  umDā  to  bhar  aa.iiñ  āñkheñ
chashm-e-sāqī  tirī  sāġhar-shiknī  yaad  aa.ī
yaad  aa.ī  na  kabhī  be-sar-o-sāmānī  meñ
dekh  kar  ghar  ko  ġharīb-ul-vatanī  yaad  aa.ī
aaj  dikhlāte  gul-afshānī-e-guftār  'vahīd'
lag  ga.ī  chup  jo  vo  ġhuncha-dahnī  yaad  aa.ī