Nasir Basheer

faqih-e-shahr ka lahja hai pur-jalal bahut

Nasir Basheer

faqīh-e-shahr lahja hai pur-jalāl bahut

tabhī to shahr meñ phailā hai ishti.āl bahut

vo ek shaḳhs ki mahrūm-e-shāna-o-sar hai

use hai jubba-o-dastār ḳhayāl bahut

vo pahle aag lagātā hai phir bujhātā hai

use hai sho.abda-bāzī meñ bhī kamāl bahut

amīr-e-shahr saarī tijoriyāñ ḳhālī

gadā-e-shahr ke kashkol meñ hai maal bahut

muhāfizoñ zarūrat tumhāre jaisoñ ko

hamāre jaisoñ ko apne badan Dhaal bahut

kahāñ se siikh ke aa.e ho guftugū hunar

uThā rahe ho sar-e-bazm tum savāl bahut

usī ke haath pe bai.at usī se ahd-e-vafā

tumheñ yazīd jis par thā ehtimāl bahut

fazā meñ uḌte parindoñ ko bhī nahīñ ma.alūm

ki bāġhbāñ ne bichhā.e haiñ ab ke jaal bahut

jo ho rahā hai tamāshā vahī dikhātā hai

kalām hotā hai 'nāsir' hasb-e-hāl bahut

Top Urdushayar.com