dil-e-tabāh  bhī  hai  ālam-e-ḳharāb  bhī  hai
nigāh-e-dost  yahī  vaqt-e-inqalāb  bhī  hai
do-ātisha  sar-e-ruḳhsār  ho  ga.e  aañsū
guloñ  pe  qatra-e-shabnam  nahīñ  sharāb  bhī  hai
nigāh-e-shauq  larazte  haiñ  taar  chilman  ke
talāsh  kar  inhī  kirnoñ  meñ  āftāb  bhī  hai
kahāñ  se  dekhiye  mauj-e-surūr  uThtī  hai
nigāh-e-nāz  bhī  hai  sāġhar-e-sharāb  bhī  hai
ḳhilāf-e-ahal-e-safīna  hī  nāḳhudā  se  nahīñ
jabīn-e-bahr  pe  larzāñ  ḳhat-e-itāb  bhī  hai
havā-e-dahr  ne  phir  dāmanoñ  pe  Daal  diyā
vo  gard  jis  meñ  nihāñ  bū-e-inqalāb  bhī  hai
ai  jastgān-e-rah-e-ġham  chale  chalo  aage
koī  maqām  ba-nām-e-bahisht-e-ḳhvāb  bhī  hai
yahī  vo  'mānī'  hai  salmā-e-gonDvāna  tirā
jo  faiz-e-ruḳh  se  tire  sāhib-e-kitāb  bhī  hai