Mani Nagpuri

dast-e-pur-shauq mile sab ko ye dastur nahin

Mani Nagpuri

Nagpur, Maharashtra, India

1918-1975
dast-e-pur-shauq mile sab ko ye dastūr nahīñ
ḳhaar se varna yahāñ dāman-e-gul duur nahīñ
ishq bhī hāmil-e-āyāt-e-mohabbat na rahā
chashm-e-pur-āb nahīñ zaḳhm se dil chuur nahīñ
marg-e-ālim ko kahā jaatā hai marg-e-ālam
maut taarī hai zamāne pe jo mansūr nahīñ
haath hai ik pas-e-parda mirā dāman thāme
kabhī majbūr huuñ maiñ aur kabhī majbūr nahīñ
nuur tāroñ kā bujhā de na mirī ham-bazmī
mujh se zulmat mire saa.e kī tarah duur nahīñ
'mānī' ālām se ye kah ke chhuḌāyā dāman
merī qismat hai vahī jo unheñ manzūr nahīñ
Top Urdushayar.com