Mani Nagpuri

KHarab-e-shauq hua jab se is nigah ka dil

Mani Nagpuri

Nagpur, Maharashtra, India

1918-1975

ḳharāb-e-shauq huā jab se is nigāh dil

charāġh-e-mai-kada hai gaah ḳhānqāh dil

na-jāne ḳhāk-nashīñ kis ke intizār meñ haiñ

kanār-e-rāh dhaḌaktā hai kab se raah dil

navāzish-e-ġham-e-daurāñ sabhī pe yaksāñ hai

gunāhgār dil ho ki be-gunāh dil

bahār se bhī numāyāñ hai ishq kirdār

ye lahlahātā chaman hai ki be-gunāh dil

falāh-e-ḳhalq meñ uThte haiñ nā-gahāñ tūfāñ

dhaḌak rahā hai havāoñ meñ sham-e-rāh dil

duā.eñ karte chalo tā-ba-manzil-e-maqsūd

ki rahzanoñ se na mil jaa.e ḳhizr-e-rāh dil

tumhārī raah meñ āsār-e-zindagī to mile

hai zarra zarra kisī āshiq-e-tabāh dil

sunā hai shā.ir-e-ḳhush-fikr ho gayā 'mānī'

niyāz-mand hai ik husn-e-ḳhush-nigāh dil

Top Urdushayar.com