qaid  jab  ham  pe  lagī  vus.at-e-dāmāñ  ke  liye
kitnī  kasrat  se  khile  phuul  gulistāñ  ke  liye
vo  munājāteñ  kahāñ  haiñ  tire  ehsāñ  ke  liye
kasrat-e-shauq  nahīñ  ālam-e-hirmāñ  ke  liye
jaise  har  husn  se  mumtāz  hai  vo  husn  tamām
ham  haiñ  e.azāz  ke  qābil  nahīñ  jānāñ  ke  liye
qār.īn-e-nigah-e-nāz  hī  samjhe  vo  ḳhat
surḳh  Doroñ  meñ  jo  tahrīr  hai  armāñ  ke  liye
riñd  laa.e  mai-o-sāġhar  kī  hasīñ  tashbīheñ
isti.āra  nigah-e-husn  thī  paikāñ  ke  liye
ḳhauf  kyā  ho  rah-e-tārīk-e-bayābāñ  kā  hameñ
kam  nahīñ  kirmak-e-shab-tāb  charāġhāñ  ke  liye
ashk-e-ġham  roke  raheñ  fāqa-guzāroñ  se  kaho
paanī  gulḳhan  se  chalā  nuuh  ke  tūfāñ  ke  liye
kī  na  jab  ahl-e-siyāsat  ne  sitam  se  tauba
ham  utāre  ga.e  is  qaum-e-bad-unvāñ  ke  liye
dar  jahān-e-gul-e-be-ḳhār  nachīdast  kase
ġham  na  kar  'mānī'-e-nashtar-kash-e-daurāñ  ke  liye