Mani Nagpuri

aish-e-rafta ka yahi hai wo shabistan ai dost

Mani Nagpuri

Nagpur, Maharashtra, India

1918-1975
aish-e-rafta kā yahī hai vo shabistāñ ai dost
yahīñ ḳhvābīda thī ārām-e-dil-o-jāñ ai dost
be-ḳhabar sone meñ vo jism khulā shānoñ tak
jaise jannat kā na ho koī nigahbāñ ai dost
saaz hāthoñ meñ uThāyā tirī añgḌā.ī ne
chūḌiyāñ pahlū badalte hī ġhazal-ḳhvāñ ai dost
pesh-e-ā.īna masahrī pe khule gesū-e-nāz
duur bādal meñ koī hūr-e-pareshāñ ai dost
muḳhtalif vaz.a tire husn ko malbūs ne dī
shauq ke maiñ ne tarāshe ka.ī unvāñ ai dost
roknā ghar tujhe jaane se ba-ḳhauf-e-hijrāñ
jāguzīñ dil meñ tire yaad azīzāñ ai dost
jo umañgoñ ko udāsī ke havāle kar de
aah vo tund-mizājī-e-buzrugāñ ai dost
naqsh hai vaqt kī peshānī pe ahd-e-rañgīñ
ham se go ruk na sakī umr-e-gurezāñ ai dost
Top Urdushayar.com