Mani Nagpuri

aish-e-rafta ka yahi hai wo shabistan ai dost

Mani Nagpuri

Nagpur, Maharashtra, India

1918-1975

aish-e-rafta yahī hai vo shabistāñ ai dost

yahīñ ḳhvābīda thī ārām-e-dil-o-jāñ ai dost

be-ḳhabar sone meñ vo jism khulā shānoñ tak

jaise jannat na ho koī nigahbāñ ai dost

saaz hāthoñ meñ uThāyā tirī añgḌā.ī ne

chūḌiyāñ pahlū badalte ġhazal-ḳhvāñ ai dost

pesh-e-ā.īna masahrī pe khule gesū-e-nāz

duur bādal meñ koī hūr-e-pareshāñ ai dost

muḳhtalif vaz.a tire husn ko malbūs ne

shauq ke maiñ ne tarāshe ka.ī unvāñ ai dost

roknā ghar tujhe jaane se ba-ḳhauf-e-hijrāñ

jāguzīñ dil meñ tire yaad azīzāñ ai dost

jo umañgoñ ko udāsī ke havāle kar de

aah vo tund-mizājī-e-buzrugāñ ai dost

naqsh hai vaqt peshānī pe ahd-e-rañgīñ

ham se go ruk na sakī umr-e-gurezāñ ai dost

Top Urdushayar.com