ḳhayāl-e-husn  zarūrī  hai  zindagī  ke  liye
charāġh  le  lo  añdhere  meñ  raushnī  ke  liye
chhupā.e  se  bhī  kahīñ  ishq-o-mushk  chhupte  haiñ
savāl  ban  ga.ī  be-pardagī  kisī  ke  liye
mujhe  jo  faiz  uThānā  hai  maiñ  uThā  lūñgā
ġharaz  nigāh-e-karam  hai  vo  ab  kisī  ke  liye
vo  dil  nazar  se  girā  deñ  to  ġham  kī  baat  nahīñ
ye  jaam  vaz.a  huā  hai  shikastagī  ke  liye
bahakne  lagtī  hai  duniyā  sharābiyoñ  kī  tarah
nazar  uThānā  bhī  dushvār  hai  kisī  ke  liye
zamāna  jab  kabhī  āmāda-e-fareb  huā
kisī  ne  parda  uThāyā  hai  āgahī  ke  liye
surūr-e-chashm-e-nigārāñ  na  pūchhiye  'mānī'
tabī.at  aaj  bhī  mauzūñ  hai  shā.irī  ke  liye