niiñd  meñ  hai  zamīñ  āsmāñ  so  gayā
aa  bhī  jaao  ki  saarā  jahāñ  so  gayā
aao  ḳhalvat-sarā-e-haram  chhoḌ  kar
bām-o-dar  so  ga.e  pāsbāñ  so  gayā
sub.h-dam  naqsh-e-pā  un  ke  dhuñdlā  ga.e
chāñd  bar-jāda-e-kahkashāñ  so  gayā
baal  bikhre  hue  chehra  utrā  huā
shab  kī  āġhosh  meñ  gulsitāñ  so  gayā
ġham  kī  lau  tez  hañgāma-e-shauq  kam
aag  sulgā  dī  aur  kārvāñ  so  gayā
zulf-o-ruḳh  kyā  kaheñ  din  kahīñ  raat  hai
ik  jahāñ  jaag  uThā  ik  jahāñ  so  gayā
'mānī'  sham-e-harīm-e-ġhazal  bujh  ga.ī
vo  'jigar'  shā.ir-e-ḳhush-bayāñ  so  gayā