sadaf  ke  karb  ko  vo  māntā  hai
ik  ik  motī  kī  qīmat  jāntā  hai
nafāsat  se  banātā  hai  khilaune
pasīne  se  jo  miTTī  sāntā  hai
kahīñ  jā.ūñ  vo  mujh  ko  DhūñD  legā
mujhe  merā  amal  pahchāntā  hai
mayassar  hai  havā-e-dasht  us  ko
ridā-e-gard  se  jo  chhāntā  hai
jo  rahtā  hai  azal  kī  justujū  meñ
vo  duniyā  meñ  kise  gardāntā  hai
mire  qadmoñ  se  vābasta  masāfat
mujhe  har  rāsta  pahchāntā  hai
mubārak  tujh  ko  terī  be-zamīrī
mujhe  is  jurm  meñ  kyuuñ  sāntā  hai
kasāfat  se  hai  tauqīr-e-latāfat
añdherā  raushnī  ko  chhāntā  hai
jise  hai  yaad  qaumoñ  kī  kahānī
havā  ke  ruḳh  ko  vo  pahchāntā  hai
azal  se  'ramz'  ye  zeb-e-nazar  hai
kahīñ  salmā  kahīñ  vo  kāntā  hai