bin  mausam  ke  paanī  barse  sāvan  sāvan  dhuup
ham  muTThī  bhar  dhuup  ko  tarseñ  āñgan  āñgan  dhuup
ruup  jalālī  rañg  jamālī  ye  kaisā  sanjog
chhat  par  chāñdnī-e-shab  utrī  hai  chilman  chilman  dhuup
god  meñ  bhar  luuñ  dil  meñ  chhupā  luuñ  yahī  hai  man  kī  chaah
jaaḌe  ke  ThiThure  hue  din  meñ  sājan  sājan  dhuup
kuTiyā  hī  par  kyuuñ  hotā  hai  sūraj  kā  prakop
rañg-mahal  meñ  sāvan  barse  jīvan  jīvan  dhuup
purvā.ī  meñ  naar  osaa.e  khet  meñ  apne  anaaj
paa.el  meñ  hai  raat  kī  ThanDak  kañgan  kañgan  dhuup
thake  hue  ghar  lauT  rahe  haiñ  saath  liye  āhār
chehra  chehra  dhuul  pasīna  dāman  dāman  dhuup
nayāy  kā  da.avā  karne  vaale  ye  kaisā  annyā.e
shahr  meñ  paanī  gaañv  meñ  paanī  chhā.ī  hai  ban  ban  dhuup
dhulī  dhulā.ī  āñkhoñ  meñ  hai  sūraj  jaisī  jot
jhiil  ke  kajle  paanī  meñ  hai  kanchan  kanchan  dhuup
maiñ  vo  bad-qismat  huuñ  jis  ko  milī  na  ThanDī  chhāñv
bharī  javānī  taptī  rāteñ  bachpan  bachpan  dhuup
piyā  milan  kī  bhor  huī  hai  'ramz'  salonī  bhor
ghuñghaT  meñ  kajrārī  āñkheñ  darpan  darpan  dhuup