Ramz Azimabadi

sulagti ret pe chalna paDe KHuda na kare

Ramz Azimabadi

Patna, Bihar, India

1916-1997
sulagtī ret pe chalnā paḌe ḳhudā na kare
mirī tarah tujhe qismat barahna-pā na kare
phir is ke baad mirī zindagī vafā na kare
maiñ tujh ko bhuul ke zinda rahūñ ḳhudā na kare
ik ek pal hai aziyyat nafas nafas hai azaab
jo mujh ko dekh le jiine kā hausla na kare
jise majāl-e-takallum na ho vo chup baiThe
baḌoñ kī baat sune koī tabsira na kare
chhue baġhair charāġhoñ ko vo guzar jaa.e
havā se koī bhī aisā mutālba na kare
ye nasl lafz-e-mohabbat se āshnā hī nahīñ
koī kisī se bhī tahzīb kā gila na kare
ḳhabar ye hai ki udhar chal rahī hai garm havā
koī parinda bhī hijrat kā faisla na kare
sulūk jis kā ho sab ke liye shajar jaisā
kisī bhī umr meñ bachchoñ kā aasrā na kare
ye mashvara hai mirā 'ramz' e'tirāz nahīñ
parā.ī aag bujhāne meñ ḳhud jalā na kare
Top Urdushayar.com