jab  tavaqqo  kā  silsila  TuuTā
ḳhush-gumānī  kā  dā.era  TuuTā
niiñd  TuuTī  to  ḳhvāb  TuuT  ga.e
aks  bikhrā  jab  aa.ina  TuuTā
aaj  phir  justujū  kī  maut  huī
aaj  phir  merā  hausla  TuuTā
tabsira  zindagī  pe  kyā  kiije
jaise  paanī  kā  bulbula  TuuTā
aaj  'mahvar'  hai  is  qadar  tanhā
jaise  ḳhud  se  bhī  rābta  TuuTā