musāfiroñ  meñ  abhī  talḳhiyāñ  purānī  haiñ
safar  nayā  hai  magar  kashtiyāñ  purānī  haiñ
ye  kah  ke  us  ne  shajar  ko  tane  se  kaaT  diyā
ki  is  daraḳht  meñ  kuchh  Tahniyāñ  purānī  haiñ
ham  is  liye  bhī  na.e  ham-safar  talāsh  kareñ
hamāre  haath  meñ  baisākhiyāñ  purānī  haiñ
ajiib  soch  hai  is  shahr  ke  makīnoñ  kī
makāñ  na.e  haiñ  magar  khiḌkiyāñ  purānī  haiñ
palaT  ke  gaañv  meñ  maiñ  is  liye  nahīñ  aayā
mire  badan  pe  abhī  dhajjiyāñ  purānī  haiñ
safar-pasand  tabī.at  ko  ḳhauf-e-sahrā  kyā
'sabā'  havā  kī  vahī  sīTiyāñ  purānī  haiñ