judā.ī  ke  sadmoñ  ko  Taale  hue  haiñ
chale  jaao  ham  dil  sambhāle  hue  haiñ
zamāne  kī  fikroñ  ne  khāyā  hai  ham  ko
hazāroñ  ke  muñh  ke  nivāle  hue  haiñ
gazand  apne  hāthoñ  se  pahuñchā  hai  ham  ko
ye  saañp  āstīnoñ  ke  paale  hue  haiñ
nahīñ  naam  ko  un  meñ  bū-e-muravvat
ye  gul-rū  mire  dekhe-bhāle  hue  haiñ
nahīñ  e'tibār  ek  dam  zindagī  kā
azal  se  qazā  ke  havāle  hue  haiñ
hazāroñ  ko  the  sarfaroshī  ke  da.ave
tasadduq  fidā  hone  vaale  hue  haiñ
ham-āvāz  haiñ  aish  o  ġham  donoñ  lekin
tarāne  ye  Thahre  vo  naale  hue  haiñ
'munīr'  ab  rah-e-haq  meñ  laġhzish  na  hogī
yad-ullāh  mujh  ko  sambhāle  hue  haiñ